Friday 10 January 2014

Alwahid

Assalamu Alaikum Warahmatullahi Wabarktuh.

Jume ki fazilat

Hadeeso me Jumme ki badi Fazilat bayan ki
gai h ,,
Daalte h 1 nazar Jumme par .. Jumma ki Namaz sabse pehle 12 Rabi- ul-
Awwal 1 Hijri ko Nabi e Pak (Sallal Lahu
Alaihi Wassalam) ki Imamat me padi gai ,,
Jisme Sahabao ki Tadaat 100 thi ... !!
(Mohsine Insaniyat 703) Jumme ki Murakbaad Dene ka b Ajr h .. Hadees:
Ae Musalmano k Giroh.. !!
Beshak Ye Jumma woh Din h Jisko Allah ne
Eid Banaya h ... !!
(mishkat Hadees no. 123) Hadees:
Jisne Jumma ki Mubarakbaad di ,,
Uss par Jannat Wajib h ... !! Hadees:
Jab koi Banda kisi Momin bhai ko ,,
Juma ki Mubarak baad deta h ....
To Jannat me uske liye 1 Darakht laga diya
jata h ... !! Jumme k din Kasrat se Duruud pade .. Hadees:
Jo mujhpar Jumma k din Duruud pade ,,
Uski Shafa'at karunga ... !!
(Kanzul Ummat jild 1 Safa 225 hadees
2236) Hadees:
Jisne Juma k Din Mujhpar 200 bar Duruud
pada ,,
uske 200 saal k Guhaan maaf ho gaye ... !!
(Kanzul Ummal Had no. 2238) Hadees:
Jo Jumme k Din ya Raat 100 bar Duruud
pade ,,
Uski 100 Hajate puri hongi ..
70 Akhirat me or 30 dunyavi ... !!
(Musnad Abu) Jumme ki Namaz na chhode .. Hadees:
Jisne Jumme ki Namaz (2 Rakat jumma) se
Pehle ,,
4 Sunnat Namaz or Jumma k baad ,,
4 Sunnat ,, 2 Sunnat ,, 2 Nafil padi ...
Allah uss par Jahannam ki Aag Haram kar dega .. !!
(Tizimi v1 Hadees 410) Hadees:
Jumma k Din Jaldi masjid me Pahuchne
wala ,,
Jald Jannat me jayega ... !! Hadees:
Jumme ki Namaz k liye Azaan di jaye ,,
To 2m Allah ki Yaad k liye Chal pado ,,
K 2mhare liye Behtar h agr 2m Jante ho ... !!
(bukhari) Hadees:
Jumme ki Namaz 2sre Jumma k ,,
Gunaho ko Maaf kar deta h ... !!
(Ibn e Maaja) Hadees:
Jo Shaks Jumma ki Namaz Jama'at k sath
padta h ,,
Allah uske liye 1 Maqbool Haj ka Sawab
likhta h ... !!
(Ghuniya tul Taliban) Hadees:
Jisne 3 Jumma Susti Barte Hue Chhod diye
to ,,
Allah Ta'ala uske Dil par Mohar Laga
dega ... !!
(Abu Daud ,, Tirzimi) Jumme k Din khas tor se Gusl kare ,,
Ye Jumma ki Sunnato me se 1 h ... Hadees:
Jumma ka Gusl .. Aadmi k Gunaho ko ,,
Uski Baal k Jad se Kheech leta h ... !!
(Tibrani) Hadees:
Jo ShaksJuma k din Gusl karke Awwal waqt
me Masjid jaye ,,
Goya usne Oont ki Qurbani ki ... !!
(Muslim) Jumma k Din Duao ki Qubuliyat ka Din b h .. Hadees:
Jumma k Din Aisi Ghadi aati h ,,
Jisme Agar koi Muslaman banda Khada
Namaz pad paha ho ,,
Or Dua mange to Allah uski Dua Qubuul
kare ... !! Kuchh Hadeeso me Khutbe k baad ka waqt
or Jumme ki namaz ,,
k baad jo Dua mango puri hone ka b Zikr
h ... !! Jumme ki Fazilate Itni h k Bayan b nai ki jaa
sakti .. Hadees:
Jumma k Din 1 Neki ka Sawab ,,
70 Guna (7o times) or Guhan karne ka Azab
70 times se b zyada h ... !!
(Mirat jil 2 page323) Jumma ki Sunnate
Gusl karna ,,
Saaf Kapde Pehanna ,,
Khushbu Tel Surma lagana ,,
Nakhun Katna ,,
Masjid Jald jana or Paidal jana ,, Surh Kahaf padna
Musafa karna
Or Jumma ki Mubarakbad dena To mere Bhaiyo or Behno .. !! Ye to sirff kuchh hi Fazilate likhi h mene ,,
Jumme ki ti Itni Fazilat h ...
K aap soch b nai sakte .. !! Ye Gareebo ki haj h ,,
Gunaho ka Kaffra h ,,
Qubuliyat ka Din h ..
Isliye Jumme ki Taiyari Eid ki tarha kare ,,
Duruud pade or Sunnato par Amal kare .. !! Or ise jitna ho sake Failaye...
Likhne me koi Galti hui ho to zarur
Bataye ... !!

Ihdinas siratal mustaqeem